Tally ERP Me New Company Kaise Bnaye GST Enable Ke Sath

Hello Dosto!!  Aaj ke post me hum nayi category bana rahe hai jo ke bhot time se aap sabki demand thi! Mujhe bhot se logo ke messages aaye ki Sir aap Tally ERP ki Free Online ClassesStart karo!! Ab finally humne apke liye tally ki free online classes start kardi hai jisme tally aur GST se judi sabhi article apko milnege! Aur agar abhi tak humari website ko abhi tak subscribe nahi kiya hai to use subscribe kar lijiye taki apko daily tally se judi classes step by step milti rahe! Ye jaankar apko bhot khsui hogi RiteshManral.com World ki pehli website hai jo aap sabhi ko hindi me tally classes ke article daily diya krengi! Chalo ye to humra intro ho gya hai tally ko lekar abi aaj ke topic ke bare me baat karte hai!

Step- 1

Create company par click kar! Click karne ke bad apke samne new window open ho jauegi!

Step- 2

Ab aap step 2 par aa gye hai yahan kuch details bharni hai apko

Name : Yahan apko apni company ka name dalna hai jis company ka aap accounts maintain karna chahta hai.

Step- 3

Mailing Name : Yahan bhi apki company ka name auega aur iske niche Address par apni company ka pura address dale !

Step- 4

Country: Yahan aap apne desh ka naam likhe jaise India ye ek desh ka naam hai !

Step- 5

State: Yahan aap apni state ka naam dale jaise mene Delhi likha hai !

Step- 6

Pincode : Yahan aap apne state ka pin code dale !

Step- 7

Phone No. : Agar company ka landline number hai to wo dale yahan par !

Step- 8

Mobile No. : Apna mobile number dale aur aage bade!

Step- 9

Email ID : Company ki mail ID fill kare!

Step- 10

Website: Agar apki company ki koi site hai to wo bhi daal skte hai yahan

Step- 11

Financial Year Begins From : Kis saal se apki company ka saal ka phle din start hota hai waise calendar month ke hisab se 1st January se start hota hai India me kisi company ka year 1st April se start hota hai to aap yahan 1st April daal skte ho!

Books Begging From : Kis din se apki book start ho rahi hai! Main apko ek example de kar samjhata hoon jaisi ki eFiling India ke naam se ek company hai jo 28th October 2018 ko start hui hai to is company ka financial year 1st April 2018 to 31st March 2019 hai aur books begging year 28th October hai!

Step- 12

TallyVault Password (If Any): ye option bahot kaam ka hai ise enable karne se aap apni company ki high security daal skte ho jisse company ka naam tak show nahi hoga agar kal ko apke yahan Income Tax Raid, GST Raid ya fir Sales Tax Ride pade to apka data nhi dekh pauegi!

Warning : TallyVault ka password bhulne par aap apna data kho (lost) kar skte ho! Isliye apne password yaad rakhe ya kisi dairy par note karke sambhal de!

Step- 13

Use Security Control : Is Function ko chalu karke aap apni company me user id password laga sakte hai! Bhot sare users ka sawal hai tally me user id and password kaise bnaye iske liye me aap sabhi ke liye ek article likhunga!

Step- 14

Ab aap enter key press karte hue aage bade aur Accept karke company bana le!

Step- 15

F11 Features: Gateway of Tally me pahoc gye ho aap ab F11 key press kare!

Step- 16

Statutory & Taxation : ab aap F3 key ya statutory & taxation par click kare!

Step- 17

Enable GST : GST Enable karne ke liye YES kare !

Step- 18

Set/Alter GST Details : GST Number dalne ke liye YES kare!

Step- 19

State : Apni State dale jaise mene Delhi dala hai waise hi aap apni state ka naam likhe!

Step- 20

Registration Tyep : Agar apne GST no Regular base par liye hai to Rgular select kare aur agar composition scheme me liya hai to composition select kare !

Step- 21

GSTIN/UIN : Apne company ka GST dale jaise 07ABCDE1234F12Z baki option bhi fill kare jaise kis din se GSt applicable hai, GSTR1 monthly jauegi ya quarterly is trha aap enter karte hue details fill karte hue aage bade!

Step- 22

Enter karke accept kare!

Step- 23

PAN: Apni company ka PAN no dale!

Step- 24

Ye last step hai ise accept karke apki company final ho jauegi aur GST enable company

 

Congratulation Dosto!! Apne GST Ready Tally Company Bana Li Hai! Apko Agar kuch samjh nahi aaya to aap niche comment box me comment karke apne swal puch sakte hai! Ab Ape Agle post me milte hai!

Ta Da!

Loading

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *