Ultimate WordPress (WP) Guide for Beginners- Hindi Me

Hey Hindian !!

Aap sabhi ka swagat hai HindiMe.org par, Jahan aap sikhoge kaise wordpress par blog banate hai (How to create and setup wordpress blog in hindi). Yeh post un New Blogger ke liye hai jo apna blog wordpress par bnana chahte hai aur English nahi aane ki wajha se Blogging me aage nhi bad pa rahe hai aur Pro Tips dali hai ki kaise apne wordpress blog ko professional bana sakte hai.

Apko is post par bataya ye sab bataya jauega:

  • Domain aur Web Hosting kaise kharide (Buy).
  • 10 minute me Kaise Apne WordPress Blog bnaye.
  • WordPress installed karne ke bad ka setup (Step by Step)
  • jaruri wordpress plugins jo apko apne blog me install karni chahiye.
  • Pro Tips apke jo apke WordPress blog ko boom kar degi.
  • Apke WordPress blog ka SEO.

Dhyan Rakhe Hum is post ko time to time update karte rahte hai. Isliye aap ise apne bookmark me add karke rakh sakte hai.

First Step : Apna WordPress blog banane ke liye Domain purchase kare !

WordPress blog banane ke liye sabse phle apko Domain  purchase karne pdegi. Domain apke blog ka naam. Aap apna domain Bigrok and GoDaddy se purchase kar sakte hai  1st year ka domain par apko acha discount mil sakta hai bigrock aur godaddy par. Iske alawa aur bhi bahut se website hai jahan se aap domain name purchase kar skate ho.

Second Step : Domain ko host karne ke liye webshosting kharide !!

Domain ke bad aapko apne domain ko host karne ke liye webhosting ki jarurt hai jise aap Bluehost, Hostgator se kharid sakte hai jo apko Rs 471/- par month padegi. agar apko wo hosting costly lage to special RiteshManral.com ke readers Hindian ke liye RiteshManral.com ki taraf se sabse sasti self hosting bhi purchase kar sakte jo blogger ka sirf Rs 1200/- per year padti hai Buy Kare aur business website ki hosting Rs 2000/- pr year padti hai Business Hosting Buy Kare

Third Step : cPanel se WordPress ko install kare !

Domain aur hosting lene ke bad apko wordpress blog installed karna hai jo apke cPanel se kiya jauega. cPanel se wordpress blog ko installed kanre me bas 5 minute lagte hai. cPanel se kaise wordpress installed karte hai Jane

WordPress Pro Tips for Beginners – Hindi Me

Ye sabsi badi problem hai new bloggers bina jane bahut se esi galtiya kar jate jisse unhe bahut jada problem ho jati hai. Ye jo bhi tips btane ja rahu hoon ye apka jada time nhi lrgi aur apko bahut jada fayede honge. agar fir bhi koi problem hoti hai to aap comment karke puch sakte ho.

Ab me apko wordpress ki kuch plugin ka bare me btane ja raha hoon jo apke blog ke liya bahut jaruri hai

  1. Activate kare Askimet Plugin
  2. Install kare WordPress SEO by Yoast : Is plugin se apka blog WordPress SEO Friendly ban jata hai jisse google par ranking achi ho jati hai.
  3. Smush.it WordPress Plugin : Ye apko apki images ko bada ya chota karne me help karega.
  4. W3 total cache plugin : Is plugin se apka blog fast loading karega aur is plugin ko install karne ke sath koi aur cache plugin ka use na kare.
  5. No self ping wordpress plugin : ye apko apne post ko pinging karne se rokega.
  6. WordPress related post plugin : Aap is plugin jaisi koi aur plugin bhi install kar sakte ho jo apke post se related aur post show karegi.
  7. WordPress social media plugin : Kisi bhi social plugin ko install karne se apke site socially ho jauegi jisse visitors bdenge.
  8. OptinMonster : OptinMonster plugin se aap apni email leads ko auto responder service laga kar unhe mail kar sakte ho.
  9. Roost Plugin : Web Push notification laga sakte ho.

Jarur Padhe: WORDPRESS BLOG कैसे बनाए- 7 आसान तरीके

Agar apko kuch samjh nhi aaya ya kuch puchna chahe to comment karke apni problem share kar sakte hai.

Loading

9 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *